Paryayvachi shabd kise kahate Hain - Paryayvachi Shabd Meaning in Hindi - Paryayvachi Shabd ki Paribhasha - Samanarthak Shabd kya hai - Samanarthak Shabd meaning in Hindi
Vaise Shabd Jo alag alag shabdon ke saman Arth vyakt karte hain unhen "paryayvachi Shabd" kaha jata hai. Arthat, ek saman Arth Wale shabdon Ko "paryayvachi Shabd" kaha jata hai. Paryayvachi Shabd ko "samanarthak Shabd" ya "pratishabd" bhi kahate Hain.
Note - "paryayvachi shabdon ke Arth" mein Samanta hote hue bhi Kai bar inke prayog ek saman nahin hote Hain.
Paryayvachi Shabd ka Arth : paryayvachi Shabd do Shabd se milkar banaa hai. Pahla shabd hai, prayay - jiska arth hota hai 'saman' dusra shabd, wachi - jiska arth hota hai 'kaha jane wala' arthat shabdon ke ek saman kahe jaane wale Arth ko paryayvachi Shabd kahate Hain.
Paryayvachi Shabd ko angreji mein kya kahate Hain - paryayvachi Shabd meaning in English
Hindi bhasha mein vibhinn shabdon ke ek saman Arth batane Wale shabdon Ko paryayvachi Shabd kahate Hain, Ya samanarthak Shabd kahate Hain. Theek usi tarah se angreji bhasha mein bhi vibhinn shabdon ke ek Jaise Arth batane Wale shabdon Ko "Synonyms" kahte hain.
Isliye ham sabhi paryayvachi Shabd ko angreji bhasha mein "Synonyms" kahate Hain
Is lekh mein ham lagbhag 30 mahatvpurn "paryayvachi Shabd" ya "samanarthak Shabd" ke bare mein batane ja rahe Hain, Jo vidyarthiyon ke liye kafi upyogi hai. Vidyalay mein Aksar ine sare paryayvachi Shabd per prashn puche jaate Hain.
Aap ine sabhi paryayvachi Shabd ko acche se yad Karen taki aap apne Vidyalay ki Pariksha mein behtar ank prapt kar sakte hain.
"30 Important Synonyms In Hindi" - Important Synonyms In Hindi For Exam - 30 महत्वपूर्ण पर्यायवाची शब्द/समानार्थी शब्द
- वस्त्र – कपड़ा, चीर, पट
- दुःख – कष्ट, वेदना, पीड़ा
- आँख – नेत्र, लोचन, नयन
- साँप – नाग, सर्प, भुजंग
- तलाब – सर, सरोवर, ताल
- स्वर्ग – देवलोक, सुरलोक, अमरपूरी
- इच्छा – कामना, चाह, आकांक्षा
- रात – रात्रि, रजनी
- शरीर – तन, देह, काया
- माता – माँ, जननी, अंबा
- सेना – दल, सेन्य, फौज
- नाव – बेड़ा, नोका, तरनी
- आंनद – हर्ष, सुख, उल्लास
- घर – सदन, गृह, भवन
- असमान – आकाश, अम्बर, गगन
- मदिरा – शराब, सोमरस, मधु
- दिन – दिवस, वार
- अध्यापक – शिक्षक, गुरु, अवबोधक
- जल – नीर, पानी, पय
- इल्जाम – आरोप, दोषारोपण
- काजल – अंजन, सुरमा
- भय – डर, भीति, खोफ
- चतुर – चालाक, कुशल, नागर
- दांत – दन्त, दसन
- किताब – पोथी, पुस्तक
- दास – नौकर, सेवक, चाकर
- भाग्य- किस्मत, तकदीर, नसीब
- धन – दौलत, सम्पति, वित्त
- जंगल – विपिन, वहन, वन
- कोयल – कोकिला, पिक
To bacchon mein ummid Karta Hun ki in sabhi paryayvachi Shabd se aapki madad jarur Hui hogi. Hume yakin hai aapane ise acche se yad kar liya hoga.
Yadi aap isi tarah alag alag shabdon ki paryayvachi Shabd Janna chahte Hain. to aap hamari paryayvachi Shabd wali "category" per jakar alag alag shabdon ki paryayvachi Shabd Jaan sakte hain.
Jisme humne unke vakya prayog awam arth ke bare mein bataya hai. Aap is lekh ko Apne doston ke sath share jarur kare.
Yadi aap hamare dwara Dale Gaye naye article ki jankari prapt karna chahte hain to aap hamare telegram group ko join jarur Karen. Aap hamare YouTube channel ko bhi subscribe kar sakte hain.
एक टिप्पणी भेजें
एक टिप्पणी भेजें